Quranic and islamic Wazaif Istikhara
Meaning of istikhara
Hadees shareef main hey kay Allah say Istikhara karna olaad adam ki khushi hey aur Allah say Istikharah na karna is ki bad bakhti hey – aek rewayat main ya be aahya hey kay , NUQSAN NAI UTHATA WO SHAKS JO ISTIKHARAH KRTA HEY , aor pasheman nahi hota , jo koi mashwara kar leta hey aor baaz ahades say ya bi sabit hey kay من سعادۃ ابن آدم الرضاء بالقضاء Tarjama – Ibn e Adam ki shahadat mandi marzi elahi par razi hona hey ,
Hazrat jabir bin abdullah (rh) say rewayat hey wo farmatay hain kay RasoolUllah Sallal Lahu Alaihi wasalam hum ko tamaam kamoon main Istekarah ki tahleem is takeed say farmatay thay – jesa kay Quran ki surah ihtemam kay saath sekhlatay thay – farmatay kay jab kisi ko kisi kaam main fikar taraddad ho to 2 rakhat nafal parhay is kay bahd u kahay –
Aap RasoolUllah ( Sallal Laahu Alaihi Wasallam ) nay farmaya hey kay jis shks nay kisi kaam kiya Istekarah kiya aor is main Alalh tahala nay koi fesla kar diya ( Maslan , wo maqsood pora kar diya ya is say dil ko hata deya ya aesay asbaab bana deyaa jis say wo muhamla khud hi hat geya ) aor banda is feslay say raazi na ho to ya in kiliya jahiz nahi hey ( yahni bara gunah hey ) jis say toba karna aor baaz aana wajib hey .
استخارہ کے مسائل
How to perform Istikharah
Istekarah talab kheer hey , talab e khbar nahi , dua Istekarah kay alfaaz ko be Aynihi ada karna aor jis tarh hadees main warid hova hey isi tarh yaad karna caheya – mahna be yaad hoon to bohot acha hey – ta kay dil say Izteraar ki kafiyat kay saath ada ho ,Istekarah wajbaat ya makrohaat main say nhi ho sakta kiun k wajib ka baja lana zarori hey .
Aor makrohaat say bachna zarori hey . Pher Istekhary ka matlb kiya hey .Istekarah sirf mubahaat main kiya jata hey or mustajab main b kiya jaa sakta hey .jab k 2 mustajabaat main say aek ko karna caheya k in main say kon sa mery liya behtar hey.
Ahem baat mashoor hy k Istekhary main jis tarf dil maheel ho jahy osi ko karna caheya osi main kheer hoti hey
Yehi baat sahi hey Istekhary k bahd dil Allah ki tarf say kisi aek janeb mahel ho jata hy . So jis janeb dil ma’ael ho jahy osi janab osi kaam ko ikhteyaar karna caheya . Cahey wo aap k haq main ho ya nhi .
Ahem baat k Istekhary k bahd dil aek janab ma’ael ho ga k Istekhary say pehly dil ka is janib zeyada Melaan nhi tha
To bazahir ya Alamat is ki hey k isi janib Ikhteyaar krna caheya Magar ya wujoob or Lozoom ki Alamat nhi is liya is k khelaaf b ikhteyaar krna jahez hey kuch gunah ya zarar ka andesha nhi , Baz logoon ka kheyaal hey k Istekarah k bahd jis janib dil zeyada Mahel ho is kay Khelaaf karna Jahiz nahi ya is main zarar ho ga Ghlat hey – isi tarh jab tak dil kisi aek tarf mahel na ho Istekarah ko bekaar samjhtay hain , ya be sahi nahi hey .
ahem baat –
importance of Istikharah:
ka matlab ya hey kay jab wo jahez ya 2 mutahib kamoon main taradad ho kay in main say kis ko Ikhteyaar karoon to Istekarah kar kay jis shaq ko dil cahay Ikhteyaar kary is main zarar na ho ga – pher jis shiq ko Ikhteyaar kar liya is ko haq tahala ki tajweez samjh kr is say razi rahna caheya aor yaqeen rakhna caheya kay is main kheer zaroor ho ge go meri samjh main na ahi ho – Istekarah kay bahd jis rah ko Ikhteyaar kar liya geya is say nagowari aor narazi aor ya kheyaal kay mujy dosri rah ikhteyaar karna caheya thi isi main kheer hoti , ya baat bohot bori hey Jis par Hadees main waheed warid hovi hey .
استخارہ کا طریقہ
Method of Istekarah
( 1 ) bahd namaz e Esha 2 nafal ba neyat istekarah is tarh ada karay kay dono rakhat main bad surah fatiha surah yaseen aek baar telawat karay aor bahd az namaz faragat ism mubarak یا خبیر ( 200) baar parhay is k bahd Right hand , dahni hathili par ( یا حکیم یا مجید ) likh kar soo jahay Insa’Allah khwaab main hedayaat naseeb ho ge ,
( 2 ) rakhat namaz ba beyat Istekhara ada karay bad az namazبسم اللہ الرحمن الرحیم323 بار aor حسبنا اللہ ونعم الوکیل 327 martaba pahy aor soo rahay Geeb say mahlomaat hasil ho jahay ge Insa’Allah
( 3 ) bahd az namaz e Esha bawaqt kafeteen ayat mubarka قالو سبحنک لا علم لنا الا ما علمتنا انک انت العلیم الحکیم , 101 baar parh kar soo rahay teen shab tak yehi amal karay Insa’Allah hedayaat naseeb ho ge’e ,
( 4 ) 2 Rakhat na neyat istekhara ada karay bahd az namaz e Esha pher ya dua Koso wa Kozoh kay saath bargah e rab bul Alameen say karay ,
Dua e Istikhara ya hey ، دعائے استخارہ یہ ہے:
اللھم انی اسخیرک بعلمک واستقدرک بقدرتک واسئلک من فضلک العظیم فانک تقدر ولا اقدر وتعلم ولا اعلم وانت علام الغیوب اللھم انک تعلم ان ( ھذا الامر ) خیر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فقدرہ لی ویسرہ لی ثم بارک لی فیہ وان کنت تعلم ان ھذا الامر شر لی فی دینی ومعاشی وعاقبۃ امری فصرفہ عنی واسرفنی عنہ واقدرلی الخیر حیثکان ثم ارضنی بہ
jab aap ( ھذا الامر ) par pohncain to apnay kaam ka dehaan lagahain aor یا خبیر اخبرنی یا علیم علمنی ka wird kartay hovay dahain karwat par soo jahain jab soo kar uthain is waqt dil main jo baat mazboti say aahy is par amal karain .
استخارہ Istekarah –
wudu kar kay paak kapray pehnay aor Qibla roo dahni karwat par leet kar surah SHAMS 7 baar surah AL-LA”AEL 7 baar surah IKHLAAS 7 baar parh kar is kay bahd aajzi say kahay ay mery Allah mery khwaab wo cheez dekha dey aor is kaam kay sar anjaam honay ki tadbeer mery dil main daal day
Insa’Allah isi raat mahloom ho jahy ga warna 7wi raat tak insa’Allah zaroor mahloom ho jahay ga
استخارہ کی ترکیب Istekharh ki tarkeeb ,
budh , Jumheraat , aor jumma ki shab بدھ جمعرات جمعہ ki shab ko barabar nama e esha kay sab kamoon say farig ho kar ( Bismillah hir Rahman NIR Raheem ) بسم اللہ الرحمن الرحیم 70 martaba parhain aor apnay muh aor seenay par dam karain aor khuda tahala say dua karain kay fulaan amar main jo kuch honay wala hey wo mujy khaab main ya Onodgi main kisi awaz denay walay ki awaz say mahloom kar dein is kay bahd ya dorood shareef ( 100 ) martaba parhain . اللھم صلی علی سیدنا محمد بعدد معلوم لک ۔ Insa’Allah 3 Ratoon main Maqsad pora ho jahay ga .